ik  shaḳhs  raat  band-e-qabā  kholtā  rahā
shab  kī  siyāhiyoñ  meñ  shafaq  gholtā  rahā
tanhā.iyoñ  meñ  aatī  rahī  jab  bhī  us  kī  yaad
saaya  sā  ik  qarīb  mire  Doltā  rahā
husn-e-bahār  ḳhuub  magar  dīda-e-bahār
motī  chaman  kī  ḳhaak  pe  kyuuñ  roltā  rahā
us  ne  sukūt  ko  bhī  takallum  samajh  liyā
kuchh  is  adā-e-ḳhās  se  dil  boltā  rahā
hijrāñ  kī  raat  mashġhala-e-dil  se  pūchhiye
us  zulf-e-ḳham-ba-ḳham  kī  girah  kholtā  rahā
ham  kushtagān-e-ḳhvāb  girāñ-gosh  hī  rahe
sūraj  saroñ  pe  vaqt-e-sahar  boltā  rahā
is  rāh-e-jazb  se  bhī  guzarnā  paḌā  'zahīr'
jis  raah  meñ  ḳhirad  kā  qadam  Doltā  rahā