hijāb  uTThe  haiñ  lekin  vo  rū-ba-rū  to  nahīñ
sharīk-e-ishq  kahīñ  koī  aarzū  to  nahīñ
ye  ḳhud-e-farebi-e-ehsās-e-ārzū  to  nahīñ
tirī  talāsh  kahīñ  apnī  justujū  to  nahīñ
sukūt  vo  bhī  musalsal  sukūt  kyā  ma.anī
kahīñ  yahī  tirā  andāz-e-guftugū  to  nahīñ
unheñ  bhī  kar  diyā  betāb-e-ārzū  kis  ne
mirī  nigāh-e-mohabbat  kahīñ  ye  tū  to  nahīñ
kahāñ  ye  ishq  kā  aalam  kahāñ  vo  husn-e-tamām
ye  sochtā  huuñ  ki  maiñ  apne  rū-ba-rū  to  nahīñ
nigāh-e-shauq  se  ġhāfil  samajh  na  jalvaoñ  ko
sharāb  kuchh  bhī  ho  be-gāna-e-subū  to  nahīñ
ḳhushī  se  tark-e-mohabbat  kā  ahd  le  ai  dost
magar  ye  dekh  tirā  dil  lahū  lahū  to  nahīñ
na  gard-e-rāh  hai  ruḳh  par  na  aañkh  meñ  aañsū
ye  justujū  bhī  sahī  us  kī  justujū  to  nahīñ
chaman  meñ  rakhte  haiñ  kāñTe  bhī  ik  maqām  ai  dost
faqat  guloñ  se  hī  gulshan  kī  aabrū  to  nahīñ