ik  aisā  marhala-e-rah-guzar  bhī  aatā  hai
koī  fasīl-e-anā  se  utar  bhī  aatā  hai
tirī  talāsh  meñ  jaane  kahāñ  bhaTak  jā.ūñ
safar  meñ  dasht  bhī  aatā  hai  ghar  bhī  aatā  hai
talāsh  saa.e  kī  laa.ī  jo  dasht  se  to  khulā
azāb-e-sūrat-e-dīvār-o-dar  bhī  aatā  hai
sakūñ  to  jab  ho  ki  maiñ  chhāñv  sehn  meñ  dekhūñ
nazar  to  vaise  galī  kā  shajar  bhī  aatā  hai
badan  kī  ḳhaak  sameTe  hue  ho  kyā  logo
safar  meñ  lamha-e-tark-e-safar  bhī  aatā  hai
diloñ  ko  zaḳhm  na  do  harf-e-nā-mulā.em  se
ye  tiir  vo  hai  ki  jo  lauT  kar  bhī  aatā  hai
maiñ  shahr  meñ  kise  ilzām-e-nā-shanāsī  duuñ
ye  harf  ḳhud  mire  kirdār  par  bhī  aatā  hai
nazar  ye  kis  se  milī  nā-gahāñ  ki  yaad  aayā
isī  galī  meñ  kahīñ  merā  ghar  bhī  aatā  hai
havā  ke  ruḳh  pe  nazar  tā.irān-e-ḳhush-parvāz
qafas  kā  saaya  pas-e-bāl-o-par  bhī  aatā  hai
maiñ  harf  harf  meñ  utrā  huuñ  raushnī  kī  tarah
so  kā.enāt  kā  chehra  nazar  bhī  aatā  hai
lahū  se  harf  tarāsheñ  jo  merī  tarah  ummīd
unhīñ  ke  hisse  meñ  zaḳhm-e-hunar  bhī  aatā  hai