vo  ḳhvāb  hī  sahī  pesh-e-nazar  to  ab  bhī  hai
bichhaḌne  vaalā  sharīk-e-safar  to  ab  bhī  hai
zabāñ  burīda  sahī  maiñ  ḳhizāñ-gazīda  sahī
harā-bharā  mirā  zaḳhm-e-hunar  to  ab  bhī  hai
sunā  thā  ham  ne  ki  mausam  badal  ga.e  haiñ  magar
zamīñ  se  fāsla-e-abr-e-tar  to  ab  bhī  hai
hamārī  dar-badarī  par  na  jā.iye  ki  hameñ
shu.ūr-e-sāya-e-dīvār-o-dar  to  ab  bhī  hai
havas  ke  daur  meñ  mamnūn-e-yād-e-yār  haiñ  ham
ki  yād-e-yār  diloñ  kī  sipar  to  ab  bhī  hai
kahāniyāñ  haiñ  agar  mo'tabar  to  phir  ik  shaḳhs
kahāniyoñ  kī  tarah  mo'tabar  to  ab  bhī  hai
hazār  khīñch  le  sūraj  hisār-e-abr  magar
kiran  kiran  pe  giraft-e-nazar  to  ab  bhī  hai
samundaroñ  se  zamīnoñ  ko  ḳhauf  kyā  ki  umiid
numū-pazīr  zamīn-e-hunar  to  ab  bhī  hai
magar  ye  kaun  badaltī  huī  rutoñ  se  kahe
shajar  meñ  saaya  nahīñ  hai  shajar  to  ab  bhī  hai