ai  dil-e-ḳhud-nā-shanās  aisā  bhī  kyā
ā.īna  aur  is  qadar  andhā  bhī  kyā
us  ko  dekhā  bhī  magar  dekhā  bhī  kyā
arsa-e-ḳhvāhish  meñ  ik  lamha  bhī  kyā
dard  kā  rishta  bhī  hai  tujh  se  bahut
aur  phir  ye  dard  kā  rishta  bhī  kiyā
zindagī  ḳhud  laakh  zahroñ  kā  thī  zahr
zahr-e-ġham  tujh  se  mirā  hotā  bhī  kyā
pūchhtā  hai  rāh-rau  se  ye  sarāb
tishnagī  kā  naam  hai  dariyā  bhī  kyā
khīñchtī  hai  aql  jab  koī  hisār
dhuup  kahtī  hai  ki  ye  saaya  bhī  kyā
uf  ye  lau  detī  huī  tanhā.iyāñ
shahr  meñ  ābād  hai  sahrā  bhī  kyā
ḳhud  use  darkār  thī  merī  nazar
ḳhud-numā  jalva  mujhe  detā  bhī  kyā
raqs  karnā  har  na.e  jhoñke  ke  saath
barg-e-āvāra  hai  ye  duniyā  bhī  kyā
ḳhanda-zan  ġham  par  ḳhushī  par  ashk-bār
in  dinoñ  yaaro  hai  rañg  apnā  bhī  kyā
be-tab-o-tāb-e-shuā-e-āgahī
ishq  kahiye  jis  ko  vo  sho.ala  bhī  kyā
gaahe  gaahe  pyaar  kī  bhī  ik  nazar
ham  se  rūThe  hī  raho  aisā  bhī  kyā
ai  mirī  taḳhlīq-e-fan  tere  baġhair
maiñ  ki  sab  kuchh  thā  magar  maiñ  thā  bhī  kyā
naġhma-e-jāñ  ko  girāñ-goshoñ  ke  paas
nā-rasā.ī  ke  sivā  miltā  bhī  kyā