nazar  na  aa.e  to  kyā  vo  mire  qayās  meñ  hai
vo  ek  jhuuT  jo  sachchā.ī  ke  libās  meñ  hai
amal  se  mere  ḳhayāloñ  kā  muñh  chiḌhātā  hai
vo  ek  shaḳhs  ki  pinhāñ  mire  libās  meñ  hai
abhī  jarāhat-e-sar  hī  ilaaj  Thahrā  hai
ki  nabz-e-sañg  kisī  dast-e-be-qayās  meñ  hai
shajar  se  saaya  judā  hai  to  dhuup  sūraj  se
safar  hayāt  kā  kis  dasht-e-be-qayās  meñ  hai
zarā  jo  talḳh  ho  lahja  to  koī  baat  bane
ġharīb-e-shahr  magar  qaid-e-iltimās  meñ  hai
tujhe  ḳhabar  bhī  hai  ḳhud  terī  kam-nigāhī  kā
ik  e'tirāf  tire  harf-e-nā-sipās  meñ  hai