kisī  se  aur  to  kyā  guftugū  kareñ  dil  kī
ki  raat  sun  na  sake  ham  bhī  dhaḌkaneñ  dil  kī
magar  ye  baat  ḳhirad  kī  samajh  meñ  aa  na  sakī
visāl-o-hijr  se  aage  haiñ  manzileñ  dil  kī
jilau  meñ  ḳhvāb-numā  rat-jage  sajā.e  hue
kahāñ  kahāñ  liye  phirtī  haiñ  vahshateñ  dil  kī
nigāh  milte  hī  rañg-e-hayā  kī  sūrat  haiñ
chhalak  uThīñ  tire  ruḳh  se  latāfateñ  dil  kī
nigāh-e-kam  bhī  use  sañg  se  ziyāda  hai
ki  aa.ine  se  sivā  haiñ  nazākateñ  dil  kī
dayār-e-harf-o-navā  meñ  koī  to  aisā  ho
kabhī  kisī  se  to  ham  baat  kar  sakeñ  dil  kī
sar-e-jarīda-e-hastī  hamāre  baad  'umīd'
lahū  se  kaun  likhegā  ibārateñ  dil  kī