maqtal-e-jāñ  se  ki  zindāñ  se  ki  ghar  se  nikle
ham  to  ḳhushbū  kī  tarah  nikle  jidhar  se  nikle
gar  qayāmat  ye  nahīñ  hai  to  qayāmat  kyā  hai
shahr  jaltā  rahā  aur  log  na  ghar  se  nikle
jaane  vo  kaun  sī  manzil  thī  mohabbat  kī  jahāñ
mere  aañsū  bhī  tire  dīda-e-tar  se  nikle
dar-ba-darī  kā  hameñ  ta.ana  na  de  ai  chashm-e-ġhazāl
dekh  vo  ḳhvāb  ki  jis  ke  liye  ghar  se  nikle
merā  rahzan  huā  kyā  kyā  na  pashemān  ki  jab
is  ke  naame  mere  asbāb-e-safar  se  nikle
bar-sar-e-dosh  rahe  yā  sar-e-neza  yā-rab
haq-parastī  kā  na  saudā  kabhī  sar  se  nikle