ham  haiñ  bas  itne  hī  sāhil-āshnā
ḳhāk-e-manzil  jitnī  manzil-āshnā
tujh  se  chhuTte  hī  ye  aalam  hai  ki  ab
dil  kī  dhaḌkan  bhī  nahīñ  dil-āshnā
sham.a  be-parvāna  jalva  be-nagar
kyā  hue  āḳhir  vo  mahfil-āshnā
aah  ye  tūfāñ-ba-kaf  abr-o-havā
aah  vo  yārān-e-sāhil-āshnā
vaqt  vo  sahrā  ki  jis  kī  gard  meñ
gum  hue  jaate  haiñ  manzil-āshnā
is  kī  qurbat  par  na  itrāo  'amīr'
mauj  kab  hotī  hai  sāhil-āshnā