zehn-o-dil  meñ  kuchh  na  kuchh  rishta  bhī  thā
ai  mohabbat  maiñ  kabhī  yakjā  bhī  thā
mujh  meñ  ik  mausam  kabhī  aisā  na  thā
aisā  mausam  jis  meñ  tū  mahkā  bhī  thā
tujh  se  milne  kis  tarah  ham  aa.e  haiñ
rāste  meñ  ḳhuun  kā  dariyā  bhī  thā
kaj-kulāhoñ  par  kahāñ  mumkin  sitam
haañ  magar  us  ne  mujhe  chāhā  bhī  thā
aaj  ḳhud  sāya-talab  hai  vaqt  se
ye  vahī  ghar  hai  ki  jo  saaya  bhī  thā
jaane  kis  sahrā-e-ġham  meñ  kho  gayā
haa.e  vo  aañsū  ki  jo  dariyā  bhī  thā