ham  tirā  ahd-e-mohabbat  Thahre
lauh-e-nisyāñ  kī  jasārat  Thahre
dil  lahū  kar  ke  ye  qismat  Thahre
sañg  fankār  kī  ujrat  Thahre
maqtal-e-jāñ  kī  zarūrat  Thahre
ham  ki  shāyān-e-mohabbat  Thahre
kyā  qayāmat  hai  vo  qātil  mujh  meñ
mere  ehsās  kī  sūrat  Thahre
vaqt  ke  dajla-e-tūfānī  meñ
aap  ham  mauja-e-ujlat  Thahre
dostī  ye  hai  ki  ḳhushbū  ke  liye
rañg  zindānī-e-sūrat  Thahre
tū  hai  ḳhurshīd  na  maiñ  huuñ  shabnam
kyā  mulāqāt  kī  sūrat  Thahre
uf  ye  guzre  hue  lamhoñ  kā  hujūm
dar-o-dīvār  qayāmat  Thahre
kūcha-gardān-e-junūñ  misl-e-sabā
zulf-e-āvāra  kī  qismat  Thahre
ishq  meñ  manzil  ārām  bhī  thī
ham  sar-e-kūcha-e-vahshat  Thahre
jab  se  'ummīd'  gayā  hai  koī!!
lamhe  sadiyoñ  kī  alāmat  Thahre