haiñ  bazm-e-gul  meñ  bapā  nauha-ḳhvāniyāñ  kyā  kyā
bahār  chhoḌ  ga.ī  hai  nishāniyāñ  kyā  kyā
tamām  umr  gul-o-mul  ke  darmiyāñ  guzrī
tamām  umr  rahīñ  sar-girāniyāñ  kyā  kyā
vo  shaḳhs-e-itr-badan  jab  bhī  sāmne  aayā
dil-o-nazar  pe  huiiñ  gul-o-fashāniyāñ  kyā  kyā
ḳhabar  na  thī  yahī  vaj.h-e-sukūn-e-jāñ  hogī
nigāh-e-yār  se  thiiñ  bad-gumāniyāñ  kyā  kyā
Tapak  ke  aañkh  se  tūfāñ  uThā  diye  jis  ne
is  ek  ashk  meñ  thiiñ  be-karāniyāñ  kyā  kyā
huzūr-e-yār  se  jab  izn-e-guftugū  na  milā
suḳhan-tarāz  huiiñ  be-zabāniyāñ  kyā  kyā
har  ek  dard  ko  darmāñ  banā  diyā  us  ne
jafā  ke  bhes  meñ  thiiñ  mehrbāniyāñ  kyā  kyā
vo  husn  aaj  bhī  hīla-garī  meñ  yaktā  hai
dil-e-ġharīb  sunegā  kahāniyāñ  kyā  kyā
us  ik  jamāl-e-gurezāñ  kī  justujū  meñ  'zahīr'
ḳharāb-o-ḳhvār  huī  haiñ  javāniyāñ  kyā  kyā