ishq  ik  hikāyat  hai  sarfarosh  duniyā  kī
hijr  ik  masāfat  hai  be-nigār  sahrā  kī
un  ke  rū-ba-rū  nikle  nutq  o  lafz  be-ma.anī
baat  hī  ajab  lekin  ḳhāmushī  ne  paidā  kī
vaqt  ke  tasalsul  meñ  ham  ba-rañg-e-sho.ala  the
umr-e-yak-nafas  meñ  bhī  raushnī  the  duniyā  kī
ham  ko  sahal-añgārī  ġharq  kar  chukī  hotī
himmat-āfrīñ  niklī  lahar  lahar  dariyā  kī
yuuñ  to  vo  farokash  the  jāda-e-rag-e-jāñ  meñ
māvarā-e-imkāñ  thī  raushnī  kaf-e-pā  kī
sham-e-mahfil-e-yak-shab  aur  tūl-e-fikr  itnā
kaun  shaḳhs  thā  jis  ne  ārzū-e-fardā  kī
ham  bhī  haiñ  niko-sūrat  ham  bhī  nek-sīrat  haiñ
ham  ne  bandagī  kī  hai  ik  jamāl-e-ra.anā  kī