Sayed Ashar

ek taq mein hun jaise rakkha hua akela

Sayed Ashar

Haripur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1961
ik taaq meñ huuñ jaise rakkhā huā akelā
jaltā huā akelā bujhtā huā akelā
kab tak karegā mujh meñ ābād ik jahāñ ko
shāḳhoñ meñ ik parinda baiThā huā akelā
baḌhtā rahā maiñ aage haTtā rahā maiñ pīchhe
din bhar yūñhī havā se laḌtā huā akelā
āñkhoñ se us kī Tapkā kab tak vahāñ maiñ rahtā
ban jā.ūñgā samundar bahtā huā akelā
varna tabīb saare mushkil meñ paḌ ga.e the
ahbāb se bachā to achchhā huā akelā
ye ishq hai samundar phailā huā jahāñ meñ
mujh sā hai ik musāfir bhaTkā huā akelā
dariyā se mil ke dariyā bantā rahā hai qatra
āñkhoñ se gir ke aañsū taarā huā akelā
khiḌkī se maiñ ne bāhar dekhā hai ik musāfir
dahlīz par vo baiThā bhīgā huā akelā
Top Urdushayar.com