har  roz  hī  imroz  ko  fardā  na  karoge
va.ada  ye  karo  phir  kabhī  va.adā  na  karoge
ye  maan  liyā  ahd-e-vafā  bhuul  chuke  ho
kyā  bhuul  ke  bhī  tum  hameñ  chāhā  na  karoge
mahfil  se  hī  uTh  jā.eñge  ham  aise  qabā-chāk
vahshat  kā  hamārī  kabhī  shikvā  na  karoge
achchhā  thā  ki  jab  āriza-e-hijr  nahīñ  thā
achchhā  hai  ki  ab  tum  kabhī  achchhā  na  karoge
jis  raaz  meñ  shāmil  hai  hamārā  bhī  fasāna
us  raaz  ko  kyā  ham  pe  bhī  ifshā  na  karoge
mar  jā.egā  dil  hasrat-e-anvār-e-sahar  meñ
be-parda  agar  tum  ruḳh-e-zebā  na  karoge
kyā  aur  na  thā  tark-e-ta.alluq  kā  bahāna
sunte  haiñ  ki  ab  tum  hameñ  rusvā  na  karoge
samjho  to  'zahīr'  un  kī  nigāhoñ  ke  ishāre
kyā  aaj  bhī  iz.hār-e-tamannā  na  karoge