parvāna  jal  ke  sāhab-e-kirdār  ban  gayā
lekin  jamāl-e-sham.a  gunāhgār  ban  gayā
ham  dil-zade  jo  sair-e-chaman  ko  nikal  paḌe
har  phuul  dast-e-shāḳh  meñ  talvār  ban  gayā
imshab  tulū-e-yār  kā  manzar  ajiib  thā
bām-e-buland  matla-e-anvār  ban  gayā
ai  mahvashān-e-shahr  mirī  bandagī  karo
maiñ  ḳhud  sañvar  ke  aks-e-ruḳh-e-yār  ban  gayā
vo  daur  the  nazar  pe  hijāb-e-ġhurūr  thā
vo  chal  diye  maiñ  dīda-e-bedār  ban  gayā
jab  ḳhāmushī  hī  bazm  kā  dastūr  ho  ga.ī
maiñ  aadmī  se  naqsh-ba-dīvār  ban  gayā
mahsūs  kar  rahā  huuñ  ki  tanhā  huuñ  in  dinoñ
har  shahar  garche  misr  kā  bāzār  ban  gayā
jis  ham-nafas  ko  mujh  se  matā-e-vafā  milī
vo  ham-nafas  mirā  hī  ḳharīdār  ban  gayā