muzmahil  hone  pe  bhī  ḳhud  ko  javāñ  rakhte  haiñ  ham
ek  sar  hai  jis  pe  sātoñ  āsmāñ  rakhte  haiñ  ham
ham  garebāñ-chāk  logoñ  ko  tahī-dāman  na  jaan
le  qimār-e-āshiqī  meñ  naqd-e-jāñ  rakhte  haiñ  ham
koī  to  āḳhir  chalā  aa.egā  pursish  ke  liye
tū  na  aa.egā  to  marg-e-nā-gahāñ  rakhte  haiñ  ham
ehtirām-e-ġham  se  haiñ  sūkhe  jazīroñ  kī  tarah
varna  in  āñkhoñ  meñ  bahr-e-be-karāñ  rakhte  haiñ  ham
ishq  meñ  zauq-e-takallum  hai  halākat-āfrīñ
aarzū  bhī  ehtiyātan  be-zabāñ  rakhte  haiñ  ham
mah-vashoñ  ke  ārizoñ  meñ  dekhte  haiñ  apnā  aks
allāh  allāh  apnā  saaya  bhī  kahāñ  rakhte  haiñ  ham
laakh  hoñ  phailī  huī  manzil-ba-manzil  zulmateñ
saath  apne  mash.al-e-husn-e-butāñ  rakhte  haiñ  ham