hisāb-e-tark-ta.alluq  tamām  maiñ  ne  kiyā
shurūa  us  ne  kiyā  iḳhtitām  maiñ  ne  kiyā
mujhe  bhī  tark-e-mohabbat  pe  hairateñ  haiñ  rahīñ
jo  kaam  merā  nahīñ  thā  vo  kaam  maiñ  ne  kiyā
vo  chāhtā  thā  ki  dekhe  mujhe  bikharte  hue
so  us  kā  jashn  ba-sad-ehtimām  maiñ  ne  kiyā
bahut  dinoñ  mire  chehre  pe  kirchiyāñ  sī  rahīñ
shikast-e-zāt  ko  ā.īna-fām  maiñ  ne  kiyā
bahut  dinoñ  meñ  mire  ghar  kī  ḳhāmoshī  TuuTī
ḳhud  apne-āp  se  ik  din  kalām  maiñ  ne  kiyā
ḳhudā-e-zabt  ne  mausam  pe  qudtareñ  baḳhshīñ
ġhubār-e-tund  ko  āhista-gām  maiñ  ne  kiyā
is  ek  hijr  ne  milvā  diyā  visāl  se  bhī
ki  tū  gayā  to  mohabbat  ko  aam  maiñ  ne  kiyā
mizāj-e-ġham  ne  bahar-taur  mashġhale  DhūñDe
ki  dil  dukhā  to  koī  kām-vām  maiñ  ne  kiyā
chalī  jo  sail-e-ravāñ  par  vo  kāġhzī  kashtī
to  is  safar  ko  mohabbat  ke  naam  maiñ  ne  kiyā
vo  āftāb  jo  dil  meñ  dahak  rahā  thā  'sa.ūd'
use  sapurd-e-shafaq  aaj  shaam  maiñ  ne  kiyā