bādal  kī  tarah  rañj-fishānī  kareñ  ham  bhī
shāyad  kabhī  is  aag  ko  paanī  kareñ  ham  bhī
ab  silsila-e-qissa-e-shab  TuuT  rahā  hai
ab  izn  atā  ho  to  kahānī  kareñ  ham  bhī
ham  ko  bhī  kabhī  dekh  havāoñ  ke  safar  meñ
sahrā  kī  tarah  naql-e-makānī  kareñ  ham  bhī
aisā  hai  ki  sikkoñ  kī  tarah  mulk-e-suḳhan  meñ
jaarī  koī  ik  yaad  purānī  kareñ  ham  bhī
is  lamha-e-ruḳhsat  ke  dhaḌak  uThne  se  pahle
Thahre  hue  dil  tujh  ko  nishānī  kareñ  ham  bhī