dīvār  pe  rakkhā  huā  miTTī  kā  diyā  maiñ
sab  kuchh  kahā  aur  raat  se  kuchh  bhī  na  kahā  maiñ
kuchh  aur  bhī  maskan  the  mire  dil  ke  alāva
lagtā  hai  kahīñ  aur  bhī  mismār  huā  maiñ
is  dukh  ko  to  maiñ  Thiik  batā  bhī  nahīñ  paatā
maiñ  ḳhud  ko  mayassar  thā  magar  mil  na  sakā  maiñ
jaagā  huuñ  magar  ḳhvāb  kī  dahshat  nahīñ  jaatī
kyā  dekhtā  huuñ  yaar  tujhe  bhuul  gayā  maiñ
sūraj  ke  ufuq  hote  haiñ  manzil  nahīñ  hotī
so  Dhaltā  rahā  jaltā  rahā  chaltā  rahā  maiñ
ik  ishq-qabīla  mirī  miTTī  meñ  chhupā  thā
ik  shaḳhs  thā  lekin  koī  ik  shaḳhs  na  thā  maiñ
ik  ghūñT  kī  vaq.at  mire  pindār  se  kam  thī
is  baat  se  vāqif  mirā  mashkīza  hai  yā  maiñ
ik  jism  meñ  rahte  hue  ham  duur  bahut  the
āñkheñ  na  khulīñ  mujh  pe  na  āñkhoñ  pe  khulā  maiñ
kuchh  aur  bhī  darkār  thā  sab  kuchh  ke  alāva
kyā  hogā  jise  DhūñDtā  thā  tere  sivā  maiñ