nazar  ke  bhed  sab  ahl-e-nazar  samajhte  haiñ
jo  be-ḳhabar  haiñ  unheñ  be-ḳhabar  samajhte  haiñ
na  un  kī  chhāñv  meñ  barkat  na  barg-o-bār  meñ  faiz
vo  ḳhud-numūd  jo  ḳhud  ko  shajar  samajhte  haiñ
unhoñ  ne  jhukte  hue  peḌ  hī  nahīñ  dekhe
jo  apne  kāġhzī  phal  ko  samar  samajhte  haiñ
hisār-e-jāñ  dar-o-dīvār  se  alag  hai  miyāñ
ham  apne  ishq  ko  hī  apnā  ghar  samajhte  haiñ
kushāda-dil  ke  liye  dil  bahut  kushāda  hai
ye  maiñ  to  kyā  mire  dīvār-o-dar  samajhte  haiñ
mirī  harīf  nahīñ  hai  ye  nīl-gūñ  vus.at
aur  is  fazā  ko  mire  bāl-o-par  samajhte  haiñ
akelā  chhoḌne  vāloñ  ko  ye  batā.e  koī
ki  ham  to  raah  ko  bhī  ham-safar  samajhte  haiñ
tujhe  to  ilm  ke  do  chaar  harf  le  baiThe
samajhne  vaale  yahāñ  umr  bhar  samajhte  haiñ
samajh  liyā  thā  tujhe  dost  ham  ne  dhoke  meñ
so  aaj  se  tujhe  bār-e-digar  samajhte  haiñ
jo  āshnā.ī  ke  ḳhanjar  se  āshnā  haiñ  'sa.ūd'
vo  dast-e-dost  ke  saare  hunar  samajhte  haiñ