haiñ dhabbe teġh-e-qātil ke jise dhone nahīñ dete
mire ahbāb tajdīd-e-vafā hone nahīñ dete
mirī vahshat ke saa.e jhāñkte rahte haiñ rauzan se
ye ādam-ḳhor mujh ko rāt-bhar sone nahīñ dete
shikast-e-ārzū rusvā.ī-e-fikr-o-nazar paiham
yahī hālāt mujh ko aap kā hone nahīñ dete
taqāzā-e-vafā meñ bhī sitam kā ek pahlū hai
maiñ ronā chāhtā huuñ aur vo rone nahīñ dete
'habīb' apnī ḳhatā thī ho ga.e rusvā zamāne meñ
ki ham sehn-e-chaman meñ bijliyāñ bone nahīñ dete