Shohrat Bukhari

sans ki aas nigahban hai KHabar-dar raho

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
saañs kī aas nigahbāñ hai ḳhabar-dār raho
dil charāġh-e-tah-e-dāmāñ hai ḳhabar-dār raho
phir do aalam ke ujaḌne kī ghaḌī aa pahuñchī
aaj phir husn pashemāñ hai ḳhabar-dār raho
jāda-e-shahr-e-tasavvur ki rahā rishta-e-jāñ
sūrat-e-gard-e-pareshāñ hai ḳhabar-dār raho
phir kisī dil meñ qayāmat ne sukūñ DhūñDh liyā
aaj phir vā dar-e-zindāñ hai ḳhabar-dār raho
rañg-o-ḳhushbū ke tilismāt meñ khone vaalo
phuul meñ aag bhī pinhāñ hai ḳhabar-dār raho
is qadar mahv na ho jaao ġham-e-duniyā meñ
saaf aks-e-ġham-e-jānāñ hai ḳhabar-dār raho
dil lagāo na chaman se na chaman vāloñ se
āḳhir-e-kār bayābāñ hai ḳhabar-dār raho
do ghaḌī ke liye mumkin hai koī phuul khile
hāsil-e-dasht-e-muġhīlāñ hai ḳhabar-dār raho
'bū-alī' ābla-pā sar-ba-garebāñ hai yahāñ
maut is dard kā darmāñ hai ḳhabar-dār raho
dil ki hai mātamī-e-hasrat-e-ta.amīr-e-azal
ḳhud hī ġhārat-e-gar-e-sāmāñ hai ḳhabar-dār raho
phir rag-o-pai meñ utar ā.eñge sūraj gal kar
aaj phir koī ġhazal-ḳhvāñ hai ḳhabar-dār raho
ek ik harf ki aa.egā zabāñ par logo
girah-e-sho.ala-e-pechāñ hai ḳhabar-dār raho
kab talak so.oge ai kūcha-e-jānāñ vaalo
asar-e-jaur numāyāñ hai ḳhabar-dār raho
zikr merā ba-badī bhī na zabāñ par laao
ye bhī ik sūrat-e-darmāñ hai ḳhabar-dār raho
tūr-e-sīnā ho ki lahore kī galiyāñ 'shohrat'
husn-e-har-rañg gurezāñ hai ḳhabar-dār raho
Top Urdushayar.com