saañs  kī  aas  nigahbāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
dil  charāġh-e-tah-e-dāmāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
phir  do  aalam  ke  ujaḌne  kī  ghaḌī  aa  pahuñchī
aaj  phir  husn  pashemāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
jāda-e-shahr-e-tasavvur  ki  rahā  rishta-e-jāñ
sūrat-e-gard-e-pareshāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
phir  kisī  dil  meñ  qayāmat  ne  sukūñ  DhūñDh  liyā
aaj  phir  vā  dar-e-zindāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
rañg-o-ḳhushbū  ke  tilismāt  meñ  khone  vaalo
phuul  meñ  aag  bhī  pinhāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
is  qadar  mahv  na  ho  jaao  ġham-e-duniyā  meñ
saaf  aks-e-ġham-e-jānāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
dil  lagāo  na  chaman  se  na  chaman  vāloñ  se
āḳhir-e-kār  bayābāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
do  ghaḌī  ke  liye  mumkin  hai  koī  phuul  khile
hāsil-e-dasht-e-muġhīlāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
'bū-alī'  ābla-pā  sar-ba-garebāñ  hai  yahāñ
maut  is  dard  kā  darmāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
dil  ki  hai  mātamī-e-hasrat-e-ta.amīr-e-azal
ḳhud  hī  ġhārat-e-gar-e-sāmāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
phir  rag-o-pai  meñ  utar  ā.eñge  sūraj  gal  kar
aaj  phir  koī  ġhazal-ḳhvāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
ek  ik  harf  ki  aa.egā  zabāñ  par  logo
girah-e-sho.ala-e-pechāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
kab  talak  so.oge  ai  kūcha-e-jānāñ  vaalo
asar-e-jaur  numāyāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
zikr  merā  ba-badī  bhī  na  zabāñ  par  laao
ye  bhī  ik  sūrat-e-darmāñ  hai  ḳhabar-dār  raho
tūr-e-sīnā  ho  ki  lahore  kī  galiyāñ  'shohrat'
husn-e-har-rañg  gurezāñ  hai  ḳhabar-dār  raho