be-nashsha  bahak  rahā  huuñ  kab  se
dozaḳh  huuñ  dahak  rahā  huuñ  kab  se
patthar  hue  kaan  maut  ke  bhī
suulī  pe  laTak  rahā  huuñ  kab  se
jhaḌtī  nahīñ  gard  āgahī  kī
dāman  ko  jhaTak  rahā  huuñ  kab  se
lahore  ke  khañDaroñ  meñ  yārab
bulbul  sā  chahak  rahā  huuñ  kab  se
raushan  na  huiiñ  ġhazal  kī  sham.eñ
sho.ala  sā  bhaḌak  rahā  huuñ  kab  se
tārīk  haiñ  rāste  vafā  ke
sūraj  sā  chamak  rahā  huuñ  kab  se
TuuTā  na  fasurdagī  kā  jaadū
ġhuncha  sā  chaTak  rahā  huuñ  kab  se
jaltā  nahīñ  be-kasī  kā  ḳhirman
bijlī  sā  lapak  rahā  huuñ  kab  se
is  hirs-o-havā  kī  tīrgī  meñ
sonā  sā  damak  rahā  huuñ  kab  se
sunsān  hai  vādī-e-takallum
bādal  sā  kaḌak  rahā  huuñ  kab  se
bastī  koī  ho  to  mil  bhī  jaa.e
sahrā  meñ  bhaTak  rahā  huuñ  kab  se
gulchīñ  koī  ho  to  qadr  jaane
jañgal  meñ  mahak  rahā  huuñ  kab  se
haañ  ai  ġham-e-ishq  mujh  ko  pahchān
dil  ban  ke  dhaḌak  rahā  huuñ  kab  se
paimāna-e-umr  kī  tarah  se
har  lamha  chhalak  rahā  huuñ  kab  se
mālūm  ye  ab  huā  ki  'shohrat'
dīvāna  huuñ  bak  rahā  huuñ  kab  se