jaane  kis  kis  kī  tavajjoh  kā  tamāshā  dekhā
toḌ  kar  aa.ina  jab  apnā  hī  chehrā  dekhā
aa  lage  gor  kināre  to  milā  muzhda-e-vasl
raat  Duubī  to  ubhartā  huā  taarā  dekhā
ek  aañsū  meñ  hue  ġharq  do-ālam  ke  sitam
ye  samundar  to  tire  ġham  se  bhī  gahrā  dekhā
yaad  aatā  nahīñ  kuchh  bhī  ki  yahāñ  duniyā  meñ
kaun  sī  chiiz  nahīñ  dekhī  magar  kyā  dekhā
ishq  ke  daaġh  hue  mahv  is  āshob  meñ  sab
TimTimātā  sā  charāġh-e-ruḳh-e-zebā  dekhā
is  ġhalat-bīnī  kā  koī  to  natīja  hotā
umr  bhar  bahr-e-balā-ḳhez  ko  sahrā  dekhā
koī  is  ḳhvāb  kī  ta.abīr  badal  de  yā-rab
ghar  meñ  bahtā  huā  ik  ḳhuun  kā  dariyā  dekhā
kho  ga.e  bhiiḌ  meñ  duniyā  kī  par  ab  tak  'shohrat'
sansanā  uTThā  hai  jī  jab  koī  un  sā  dekhā