ham  shahr  meñ  ik  sham.a  kī  ḳhātir  hue  barbād
logoñ  ne  kiyā  chāñd  ke  sahrāoñ  ko  ābād
har  samt  falak-bos  pahāḌoñ  kī  qatāreñ
'ḳhusrav'  hai  na  'shīrīñ'  hai  na  tesha  hai  na  farhād
barsoñ  se  yahī  ḳhvāb  haiñ  nīndoñ  kī  sajāvaT
gulshan  hai  magar  gul  hai  na  bulbul  hai  na  sayyād
huuñ  tā.ir-e-be-bām  charāġh-e-sar-e-sahrā
ummīd-e-karam  hai  na  mujhe  shikva-e-bedād
jis  ghar  ko  basāyā  thā  mirī  be-ḳhabarī  ne
aaj  us  ko  tirī  ḳhud-nigarī  kar  ga.ī  barbād
kuchh  aisā  dhuāñ  hai  ki  ghuTTī  jaatī  haiñ  sāñseñ
is  raat  ke  ba.ad  aaoge  shāyad  na  kabhī  yaad
har  zarra  hai  madfan  mirī  hairat-nigahī  kā
yārab!  ye  galī  kūche  hamesha  raheñ  ābād
kal  apnī  bhī  tasvīr  na  pahchān  sakeñge
is  daur  ko  baḳhshe  ga.e  vo  'mānī'  vo  'bahzād'
sunsān  hai  zindāñ  bhī  bisān-e-dil-e-shā.er
ne  shor-e-salāsil  hai  na  hañgāma-e-fariyād
ḳhurshīd-e-qayāmat  utar  aa.e  rag-e-jāñ  meñ
ai  naġhmagaro  aisī  koī  tarz  ho  ījād
'shohrat'  ki  hai  ab  vaj.h-e-pareshānī-e-ahbāb
uTh  jā.egā  jis  roz  tū  aa.egā  bahut  yaad