dil  talabgār-e-tamāshā  kyuuñ  thā
ya.anī  hasrat-kash-e-duniyā  kyuuñ  thā
din  bahr-e-hāl  guzar  hī  jaate
dil  kā  ehsān  uThāyā  kyuuñ  thā
saḳht  begāna  thā  lekin  yā-rab
itnā  mānūs  vo  chehrā  kyuuñ  thā
juz  ġhazal  ḳhaak  thā  dāman  meñ  mire
us  ne  phir  pyaar  se  dekhā  kyuuñ  thā
vo  agar  merī  rasā.ī  meñ  na  thā
ā.īne  meñ  koī  vaisā  kyuuñ  thā
aañkh  ko  shauq  ki  dekhe  us  ko
dil  kā  pachhtāvā  ki  dekhā  kyuuñ  thā
hāsil-e-bazm  hai  parvāne  kī  raakh
raat  bhar  sham.a  kā  charchā  kyuuñ  thā
sub.h  ke  naam  se  ghabrātā  huuñ
jī  ko  raas  aayā  añdherā  kyuuñ  thā
sohbat-e-gul-badnāñ  meñ  'shohrat'
dil  meñ  kāñTā  sā  khaTaktā  kyuuñ  thā