Shohrat Bukhari

apnon se murawwat ka taqaza nahin karte

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
apnoñ se muravvat kā taqāzā nahīñ karte
sahrāoñ meñ saa.e kī tamannā nahīñ karte
majnūñ pe na kar rashk ki jo ahl-e-vafā haiñ
mar jaate haiñ ma.ashūq ko rusvā nahīñ karte
Tuk dekh liyā āñkhoñ hī āñkhoñ meñ hañse bhī
par yuuñ to ilāj-e-dil-e-shaidā nahīñ karte
kyā ho gayā is shahr ke logoñ ke diloñ ko
ḳhanjar bhī utar jaa.e to dhaḌkā nahīñ karte
bārish kī talab hai to samundar kī taraf jā
ye abr to sahrāoñ pe barsā nahīñ karte
do din kī jo baaqī hai tahammul se basar kar
jo honā hai ho jā.egā sochā nahīñ karte
pachhtāve se baḌh kar koī āzār nahīñ hai
jab dil ko lagāte haiñ to royā nahīñ karte
māyūsī kī ne.amat baḌī mushkil se milī hai
phir aas bañdhāte ho tum achchhā nahīñ karte
jo kuchh kahe 'shohrat' kī ġhazal maan lo us ko
dil ko kabhī shā.er ke dukhāyā nahīñ karte
Top Urdushayar.com