apnoñ  se  muravvat  kā  taqāzā  nahīñ  karte
sahrāoñ  meñ  saa.e  kī  tamannā  nahīñ  karte
majnūñ  pe  na  kar  rashk  ki  jo  ahl-e-vafā  haiñ
mar  jaate  haiñ  ma.ashūq  ko  rusvā  nahīñ  karte
Tuk  dekh  liyā  āñkhoñ  hī  āñkhoñ  meñ  hañse  bhī
par  yuuñ  to  ilāj-e-dil-e-shaidā  nahīñ  karte
kyā  ho  gayā  is  shahr  ke  logoñ  ke  diloñ  ko
ḳhanjar  bhī  utar  jaa.e  to  dhaḌkā  nahīñ  karte
bārish  kī  talab  hai  to  samundar  kī  taraf  jā
ye  abr  to  sahrāoñ  pe  barsā  nahīñ  karte
do  din  kī  jo  baaqī  hai  tahammul  se  basar  kar
jo  honā  hai  ho  jā.egā  sochā  nahīñ  karte
pachhtāve  se  baḌh  kar  koī  āzār  nahīñ  hai
jab  dil  ko  lagāte  haiñ  to  royā  nahīñ  karte
māyūsī  kī  ne.amat  baḌī  mushkil  se  milī  hai
phir  aas  bañdhāte  ho  tum  achchhā  nahīñ  karte
jo  kuchh  kahe  'shohrat'  kī  ġhazal  maan  lo  us  ko
dil  ko  kabhī  shā.er  ke  dukhāyā  nahīñ  karte