jaane  kyā  baat  hai  mānūs  bahut  lagtā  hai
ye  jo  ik  ġhair  sā  is  bazm  meñ  aa  baiThā  hai
umr-bhar  tū  ne  zamāne  kā  kahā  maanā  hai
dil  kī  āvāz  bhī  sun  dekh  to  kyā  kahtā  hai
mil  bhī  jaa.e  jo  koī  naav  to  ab  kyā  hāsil
ab  to  dariyā  mire  darvāze  pe  aa  pahuñchā  hai
us  ne  dil  jaan  ke  chheḌā  use  ma.alūm  na  thā
mere  pahlū  meñ  dahaktā  huā  añgārā  hai
merā  jī  jaane  hai  yā  merā  ḳhudā  jaane  hai
kyā  sunā  hai  tire  is  shahr  meñ  kyā  dekhā  hai
haa.e  kyā  dīda-varī  hai  ki  sahar-dam  ye  khulā
jis  ko  ham  sham.a  samajhte  rahe  parvāna  hai
koī  ro.e  to  hañso  koī  hañse  to  rovo
aaj  ke  daur  meñ  jiine  kā  yahī  rasta  hai
mere  siine  meñ  ḳhunuk  tīrgiyāñ  chhoḌ  gayā
ek  ā.īna  ki  sūraj  kī  tarah  jaltā  hai
koī  bastī  na  koī  peḌ  na  chashma  koī
qāfila  umr-e-ravāñ  kā  ye  kahāñ  utrā  hai
jāh-o-mansab  kī  havas  ho  to  maiñ  kāfir  'shohrat'
maiñ  sag-e-kū-e-alī  huuñ  merā  kyā  kahnā  hai