Shohrat Bukhari

aao ki abhi chhanw sitaron ki ghani hai

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
aao ki abhī chhāñv sitāroñ kī ghanī hai
phir shaam talak dasht-e-ġharīb-ul-vatanī hai
kuchh bhī ho magar husn kī fitrat meñ abhī tak
pābandī-e-rasm-o-rah-e-ḳhātir-shikanī hai
mat pūchh ki kyā rañg hai zabt-e-ġham-e-dil meñ
har ashk jo piitā huuñ vo hiire kī kanī hai
shā.ir ke taḳhayyul se charāġhoñ kī lavoñ tak
har chiiz tirī bazm meñ tasvīr banī hai
tum jis ko bahut samjhe to ik buuñd lahū kī
pūchho mire dāman se aqīq-e-yamanī hai
ma.alūm huā jab ki rahā kuchh bhī na dil meñ
bas ek nazar qīmat-e-duniyā-e-danī hai
iblīs ho suqrāt ho sarmad ho ki mansūr
ḳhud-āgahī har shakl meñ gardan-zadanī hai
maqsūd na bulbul hai na tuutī hai na qumrī
matlab to chaman vāloñ kā navak-faganī hai
āsā.ish-e-getī hai sazā be-hunarī kī
āzurdagī-e-dil sila-e-ḳhush-suḳhanī hai
kin phuul fazāoñ kī tavaqqo meñ paḌe ho
hoshyār ki yaañ zauq-e-sabā sho.ala-zanī hai
aao chaleñ us anjuman-e-bul-havasāñ se
ātish-nafasaī hai na jahāñ gul-badanī hai
'shohrat' se kabhī jaan talab kar ke to dekho
har-chand tahī-dast hai par dil kā ġhanī hai
Top Urdushayar.com