aao  ki  abhī  chhāñv  sitāroñ  kī  ghanī  hai
phir  shaam  talak  dasht-e-ġharīb-ul-vatanī  hai
kuchh  bhī  ho  magar  husn  kī  fitrat  meñ  abhī  tak
pābandī-e-rasm-o-rah-e-ḳhātir-shikanī  hai
mat  pūchh  ki  kyā  rañg  hai  zabt-e-ġham-e-dil  meñ
har  ashk  jo  piitā  huuñ  vo  hiire  kī  kanī  hai
shā.ir  ke  taḳhayyul  se  charāġhoñ  kī  lavoñ  tak
har  chiiz  tirī  bazm  meñ  tasvīr  banī  hai
tum  jis  ko  bahut  samjhe  to  ik  buuñd  lahū  kī
pūchho  mire  dāman  se  aqīq-e-yamanī  hai
ma.alūm  huā  jab  ki  rahā  kuchh  bhī  na  dil  meñ
bas  ek  nazar  qīmat-e-duniyā-e-danī  hai
iblīs  ho  suqrāt  ho  sarmad  ho  ki  mansūr
ḳhud-āgahī  har  shakl  meñ  gardan-zadanī  hai
maqsūd  na  bulbul  hai  na  tuutī  hai  na  qumrī
matlab  to  chaman  vāloñ  kā  navak-faganī  hai
āsā.ish-e-getī  hai  sazā  be-hunarī  kī
āzurdagī-e-dil  sila-e-ḳhush-suḳhanī  hai
kin  phuul  fazāoñ  kī  tavaqqo  meñ  paḌe  ho
hoshyār  ki  yaañ  zauq-e-sabā  sho.ala-zanī  hai
aao  chaleñ  us  anjuman-e-bul-havasāñ  se
ātish-nafasaī  hai  na  jahāñ  gul-badanī  hai
'shohrat'  se  kabhī  jaan  talab  kar  ke  to  dekho
har-chand  tahī-dast  hai  par  dil  kā  ġhanī  hai