dil  us  se  lagā  jis  se  rūThā  bhī  nahīñ  jaatā
kaam  us  se  paḌā  jis  ko  chhoḌā  bhī  nahīñ  jaatā
din  raat  taḌaptā  huuñ  ab  jis  kī  judā.ī  meñ
vo  sāmne  aa.e  to  dekhā  bhī  nahīñ  jaatā
manzil  pe  pahuñchne  kī  ummīd  bañdhe  kaise
paañv  bhī  nahīñ  uThte  rasta  bhī  nahīñ  jaatā
ye  kaun  sī  bastī  hai  ye  kaun  sā  mausam  hai
sochā  bhī  nahīñ  jaatā  bolā  bhī  nahīñ  jaatā
añgāroñ  kī  manzil  meñ  zanjīr-bapā  haiñ  ham
Thahrā  bhī  nahīñ  jaatā  bhāgā  bhī  nahīñ  jaatā
is  martaba  chhā.ī  hai  kuchh  aisī  ghaTā  jis  se
khulnā  bhī  nahīñ  hotā  barsā  bhī  nahīñ  jaatā
har  haal  meñ  itne  bhī  be-bas  na  hue  the  ham
daldal  bhī  nahīñ  lekin  niklā  bhī  nahīñ  jaatā
mar  jaate  the  ġhairoñ  ke  kāñTā  bhī  jo  chubhtā  thā
ḳhud  qatl  hue  lekin  royā  bhī  nahīñ  jaatā
kāfir  hoñ  jo  hasrat  ho  jiine  kī  magar  'shohrat'
is  haal  meñ  yāroñ  ko  chhoḌā  bhī  nahīñ  jaatā