Shohrat Bukhari

kuchh hashr se kam garmi-e-bazar nahin hai

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
kuchh hashr se kam garmī-e-bāzār nahīñ hai
vo jins huuñ maiñ jis kā ḳharīdār nahīñ hai
is raat ke gambhīr añdhere meñ hai kyā kyā
hāsil tujhe par dīda-e-bedār nahīñ hai
mumkin ho to siine meñ utar kar to mire dekh
vo laash huuñ maiñ jis kā azā-dār nahīñ hai
ik tere taġhāful ne kamar toḌ ke rakh dī
varna ġham-e-duniyā to mujhe baar nahīñ hai
hañstā hai mire sīna-e-sad-chāk pe kyā kyā
vo jis ke garebān meñ ik taar nahīñ hai
dil ḳhūgar-e-ġham kaun sā ġham pā ke jiyegā
varna tujhe paanā mujhe dushvār nahīñ hai
kis muñh se amaañ chāhūñgā sūraj se dobāra
sad-shukr ki yaañ sāya-e-dīvār nahīñ hai
chāhegā kise kis kā vafādār rahegā
ye dil jise ḳhud se bhī abhī pyaar nahīñ hai
kyā lutf hai rakhtā hai sar-e-lutf-o-karam bhī
'shohrat' ki tire ġham kā sazā-vār nahīñ hai
Top Urdushayar.com