kuchh  hashr  se  kam  garmī-e-bāzār  nahīñ  hai
vo  jins  huuñ  maiñ  jis  kā  ḳharīdār  nahīñ  hai
is  raat  ke  gambhīr  añdhere  meñ  hai  kyā  kyā
hāsil  tujhe  par  dīda-e-bedār  nahīñ  hai
mumkin  ho  to  siine  meñ  utar  kar  to  mire  dekh
vo  laash  huuñ  maiñ  jis  kā  azā-dār  nahīñ  hai
ik  tere  taġhāful  ne  kamar  toḌ  ke  rakh  dī
varna  ġham-e-duniyā  to  mujhe  baar  nahīñ  hai
hañstā  hai  mire  sīna-e-sad-chāk  pe  kyā  kyā
vo  jis  ke  garebān  meñ  ik  taar  nahīñ  hai
dil  ḳhūgar-e-ġham  kaun  sā  ġham  pā  ke  jiyegā
varna  tujhe  paanā  mujhe  dushvār  nahīñ  hai
kis  muñh  se  amaañ  chāhūñgā  sūraj  se  dobāra
sad-shukr  ki  yaañ  sāya-e-dīvār  nahīñ  hai
chāhegā  kise  kis  kā  vafādār  rahegā
ye  dil  jise  ḳhud  se  bhī  abhī  pyaar  nahīñ  hai
kyā  lutf  hai  rakhtā  hai  sar-e-lutf-o-karam  bhī
'shohrat'  ki  tire  ġham  kā  sazā-vār  nahīñ  hai