dil  ne  kis  manzil-e-be-nām  meñ  chhoḌā  thā  mujhe
raat  bhar  ḳhud  mire  saa.e  ne  bhī  DhūñDā  thā  mujhe
mujh  ko  hasrat  ki  haqīqat  meñ  na  dekhā  us  ko
us  ko  nārāzgī  kyuuñ  ḳhvāb  meñ  dekhā  thā  mujhe
ajnabī  ban  ke  sar-e-rāh  milā  thā  jo  abhī
ye  vahī  shaḳhs  hai  jis  ne  kabhī  chāhā  thā  mujhe
jab  bhī  tanhā.ī  mile  ā.īna  hai  yā  maiñ  huuñ
us  ne  kis  aan  se  kis  aan  meñ  dekhā  thā  mujhe
jin  se  bhāgā  thā  vahī  sūrateñ  phir  sāmne  haiñ
kaun  sī  qabr  meñ  duniyā  ne  utārā  thā  mujhe
vo  faqat  mere  liye  paidā  hue  haiñ  'shohrat'
kaun  sā  lamha  thā  jab  vahm  ye  guzrā  thā  mujhe