yahāñ jo peḌ the apnī jaḌoñ ko chhoḌ chuke
qadam jamātī huī sab rutoñ ko chhoḌ chuke
koī tasavvur-e-zindāñ bhī ab nahīñ baaqī
ham us zamāne ke sab dostoñ ko chhoḌ chuke
bhaTak rahe haiñ ab uḌte hue ġhubār ke saath
musāfir apne sabhī rāstoñ ko chhoḌ chuke
nikal chuke haiñ tire roz o shab se ab aage
dinoñ ko chhoḌ chuke ham shaboñ ko chhoḌ chuke
na jaane kis liye hijrat pe vo hue majbūr
parinde apne sabhī ghoñsloñ ko chhoḌ chuke
jo mar ga.e unheñ zindān se nikāleñge
nahīñ ki ahl-e-qafas qaidiyoñ ko chhoḌ chuke
agarche aisā nahīñ lag rahā hai aisā magar
ki raahī saare 'zafar' rahbaroñ ko chhoḌ chuke