Ashar Hashmi

shor kaisa hai mere dil ke KHarabe se uTha

Ashar Hashmi

shor kaisā hai mire dil ke ḳharābe se uThā

shahr jaise ki koī apne malbe se uThā

uThā dasht meñ dīvāne se bār-e-furqat

tire shahr meñ ik chāhne vaale se uThā

mirī ḳhaak ko mil jaane de is miTTī meñ

mujhe ḳhuun lalkār pe kūche se uThā

mire paas nahīñ hotā ye sach hai lekin

tirī āvāz par har sub.h meñ sote se uThā

chaak pe rakkhā hai to lams bhī de hāthoñ

merī pahchān ta.attul ke andhere se uThā

dil ki hai ḳhuun ik qatra magar duniyā meñ

jab uThā hashr isī ek ilāqe se uThā

ye ujāloñ ināyat hai ki banda-e-'ash.har'

apne saa.e pe girā apne saa.e se uThā

Top Urdushayar.com