Kaif Moradaabadi

gham-e-hasti na kuchh fikr-e-dil-o-jaan hai jahan main hun

Kaif Moradaabadi

ġham-e-hastī na kuchh fikr-e-dil-o-jāñ hai jahāñ maiñ huuñ

ki har har gaam par koī nigahbāñ hai jahāñ maiñ huuñ

har ik nazzāra sau pardoñ meñ pinhāñ hai jahāñ maiñ huuñ

ḳhudā jaane kahāñ kal bazm-e-imkāñ hai jahāñ maiñ huuñ

har ik jazba ta.ayyun se gurezāñ hai jahāñ maiñ huuñ

ġham-e-dil be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ hai jahāñ maiñ huuñ

kamāl-e-be-ḳhudī manzil-ba-manzil kaam kartā hai

junūn-e-justujū sar-dar-garebāñ hai jahāñ maiñ huuñ

havā meñ ik musalsal irti.āsh-e-shauq hai pinhāñ

fazā meñ paiham ik bijlī raqsāñ hai jahāñ maiñ huuñ

ġham-e-hāsil muqayyad kar rahā hai sa.ī-e-hāsil ko

mazāq-e-ārzū dīvār-e-zindāñ hai jahāñ maiñ huuñ

mujhe har yaum ishrat partav-e-rū-e-nigārīñ hai

shab-e-ġham sāya-e-zulf-e-pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ

kahāñ ke aish-o-ġham kaisī murādeñ kaise andeshe

ki saarī zindagī ḳhvāb-e-pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ

junūn insān ke andāz-e-farzāna ko kahte haiñ

ḳhirad naam ehsās-e-pashemāñ hai jahāñ maiñ huuñ

jo har manzil meñ rahbar thā vo ab bhī saath hai varna

yahāñ har gaam par laġhzish imkāñ hai jahāñ maiñ huuñ

kisī se 'kaif' maiñ rāz-e-haqīqat kis tarah pūchhūñ

har ik sūrat har ik nazzāra hairāñ hai jahāñ maiñ huuñ

Top Urdushayar.com