rūh-e-ajdād  ko  jhiñjhoḌ  diyā  bachchoñ  ne
saare  hālāt  kā  ruḳh  moḌ  diyā  bachchoñ  ne
āḳhirī  ek  khilaunā  thā  rivāyat  kā  vaqār
bātoñ  bātoñ  meñ  jise  toḌ  diyā  bachchoñ  ne
ghar  kā  har  shaḳhs  nazar  aatā  hai  but  patthar  kā
jab  se  rishtoñ  ko  nayā  moḌ  diyā  bachchoñ  ne
zindagī  aaj  hai  ik  aise  apāhij  kī  tarah
lā  ke  jañgal  meñ  jise  chhoḌ  diyā  bachchoñ  ne
aaj  ke  daur  kī  tahzīb  kā  patthar  le  kar
ek  dīvāne  kā  sar  phoḌ  diyā  bachchoñ  ne
zad  meñ  aa  jā.eñge  sab  shahr  sabhī  gaañv  bhī
mauj-e-dariyā  ko  kidhar  moḌ  diyā  bachchoñ  ne
sab  buzurgoñ  ke  tabassum  ko  dikhāvā  kahiye
varna  ye  sach  hai  ki  dil  toḌ  diyā  bachchoñ  ne