bahut  dinoñ  se  khulā  dar  talāsh  kartā  huuñ
maiñ  apne  ghar  meñ  khaḌā  ghar  talāsh  kartā  huuñ
palak  pe  qatra-e-shabnam  uThā.e  sadiyoñ  se
tire  karam  kā  samundar  talāsh  kartā  huuñ
nazar  meñ  jiit  kī  tasdīq  kā  savāl  liye
galī  galī  meñ  sikandar  talāsh  kartā  huuñ
badan  badan  se  ḳhulūs-o-vafā  kī  ḳhushbūeñ
maiñ  sūñgh  kar  nahīñ  chhūkar  talāsh  kartā  huuñ
laboñ  kī  pyaas  bujhāne  ke  vāste  saaqī
kisī  buzurg  kā  sāġhar  talāsh  kartā  huuñ
javāharāt  ke  ik  Dher  par  khaḌā  ho  kar
na.ī  pasand  kā  patthar  talāsh  kartā  huuñ
tū  āñdhiyoñ  ke  tashaddud  kī  baat  kartā  hai
maiñ  apne  TuuTe  hue  par  talāsh  kartā  huuñ