Kanval Ziai

gham ki har ek baat ko ab gham pe chhoD de

Kanval Ziai

Sialkot, Punjab, Pakistan

1927-2012

ġham har ek baat ko ab ġham pe chhoḌ de

is tishnagī ko qatra-e-shabnam pe chhoḌ de

jo ne kar diyā hai to is hisāb rakh

jo ham se ho gayā hai use ham pe chhoḌ de

ḳhanjar thā kis ke haath meñ bas itnā yaad kar

zaḳhmoñ dard vaqt ke marham pe chhoḌ de

devtā hai sirf ibādat se kaam rakh

aadam ke har gunāh ko aadam pe chhoḌ de

ab aane vaale vaqt intizār kar

maazī ko duur haal ke mātam pe chhoḌ de

mausam pe munhasir hai ye fasl-e-ġham-e-hayāt

fasl-e-ġham-e-hayāt ko mausam pe chhoḌ de

apne ghar ko talḳhī-e-ġham se bachā ke rakh

aalam baat vālī-e-ālam pe chhoḌ de

Top Urdushayar.com