harfoñ  kā  dil  kaañp  rahā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
kis  qātil  kā  naam  likhā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
ḳhuun  se  jaltā  ek  diyā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
aaj  bhī  kitnī  garm  havā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
karvaT  le  kar  ek  qayāmat  jāgne  vaalī  hai  ab  shāyad
kahne  ko  ik  sannāTā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
sahmā  sahmā  khoyā  khoyā  kab  se  baiThā  sochā  rahā  huuñ
kis  ne  mujh  ko  qaid  kiyā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
sab  jaane  pahchāne  chehre  maiñ  bhī  tū  bhī  ye  bhī  vo  bhī
lāshoñ  kā  ik  shahr  basā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
lafzoñ  kī  dīvār  ke  aage  aks  ubhar  aayā  hai  kis  kā
ḳhanjar  le  kar  kaun  khaḌā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe
rūh-e-ġhazal  par  tanhā.ī  meñ  jaane  kitne  vaar  hue  haiñ
misra.a  misra.a  tharrātā  hai  lafzoñ  kī  dīvār  ke  pīchhe