zamāne  ko  lahū  piine  kī  lat  hai
magar  phir  bhī  yahāñ  sab  ḳhairiyat  hai
hamārī  shaḳhsiyat  kyā  shaḳhsiyat  hai
har  ik  tevar  dikhāve  kī  parat  hai
hamārā  ghar  bahut  chhoTā  hai  lekin
hamārā  ghar  hamārī  saltanat  hai
ye  qatra  ḳhuun  kā  dariyā  banegā
abhī  insān  zer-e-tarbiyat  hai
ta.āruf  ham  se  apnī  zaat  kā  bhī
abhī  ahl-e-karam  kī  ma.arifat  hai
likhe  haiñ  giit  barsātoñ  ke  jis  par
hamāre  ghar  pe  us  kāġhaz  kī  chhat  hai
mirī  āñkhoñ  meñ  talḳhī  us  jahāñ  kī
tire  chehre  pe  ḳhauf-e-āqibat  hai