Shabnam Shakeel

baat ima-o-ishaaraat se baDhi aap hi aap

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013

baat īmā-o-ishārāt se baḌhī aap aap

us qurbat meñ bahalne lagā aap aap

taaza kaliyoñ ke tabassum sabab kyā hogā

aayā kartī hai javānī meñ hañsī aap aap

zard hāthoñ pe mohabbat lahū rañg-e-hinā

vaqt aayā to rachī aur rachī aap aap

bas ki rakkhā thā makāñ muddatoñ tum ne ḳhālī

is meñ bad-rūh koī basne lagī aap aap

raakh bante vahī chehra nahīñ dekhā jaatā

jis ke sho.ale kabhī dhuum machī aap aap

bint-e-havvā kisī chehre se na dhokā khaa.e

keñchulī saañp badaltā hai na.ī aap aap

kaash aisā bhī ho qīmat na adā karnī paḌe

aur mil jaa.e mujhe koī ḳhushī aap aap

Top Urdushayar.com