na  pūchh  dekh  ke  kitnā  malāl  hotā  hai
jo  ḳhvāb  dekhne  vāloñ  kā  haal  hotā  hai
laboñ  pe  mohr-e-ḳhamoshī  lagā.ī  jaatī  hai
aur  is  ke  ba.ad  hamīñ  se  savāl  hotā  hai
jab  aa.ī  shām-s-masāfat  to  phir  ye  raaz  khulā
zarā  sī  der  uruuj  o  zavāl  hotā  hai
har  ek  shaḳhs  kī  apnī  hī  ek  duniyā  hai
kahāñ  kisī  ko  kisī  kā  ḳhayāl  hotā  hai
har  ek  auj-e-mohabbat  pe  aa  nahīñ  saktā
kisī  kisī  meñ  hī  aisā  kamāl  hotā  hai
rukī  huī  huuñ  ik  aaise  savāl  par  'shabnam'
javāb  jis  kā  hamesha  muhāl  hotā  hai