Ezaz Afzal

aangan aangan KHana-KHarabi hansti hai meamaron par

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
āñgan āñgan ḳhāna-ḳharābī hañstī hai me.amāroñ par
patthar kī chhat Dhaal rahe haiñ shīshe kī dīvāroñ par
zaḳhm lage to bas ye jaano choT paḌī naqqāroñ par
aaj lagā do jaan kī baazī TuuT paḌo talvāroñ par
ahl-e-junūñ kī lāla-kārī mausam kī pāband nahīñ
fasl-e-ḳhizāñ meñ phuul khule haiñ zindāñ kī dīvāroñ par
dil ke ufuq se TuuT ga.e haiñ kitne sūraj kitne chāñd
Tapke haiñ do-chār sitāre jab tere ruḳhsāroñ par
kahte haiñ ḳhush-qāmat kis ko dekh nikal kar gulshan se
kaise kaise sarv-e-ra.anā chalte haiñ añgāroñ par
is sāhil par naav paḌī hai us sāhil par māñjhī hai
beach nadī meñ tairtī lāsho pul ban jaao dhāroñ par
Top Urdushayar.com