Ezaz Afzal

aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
aaj dil hai ki sar-e-shām bujhā lagtā hai
ye añdhere kā musāfir bhī thakā lagtā hai
apne bahke hue dāman kī ḳhabar lī na ga.ī
jis ko dekho charāġhoñ se ḳhafā lagtā hai
baaġh kā phuul nahīñ lāla-e-sahrā huuñ maiñ
lū kā jhoñkā bhī mujhe bād-e-sabā lagtā hai
tañgī-e-zarf-e-nazar kasrat-e-nazzāra-e-dahar
pyaas kachchī ho to har jaam bharā lagtā hai
kis takalluf se girah khol rahā huuñ dil kī
uqda-e-dard tirā band-e-qabā lagtā hai
ḳhār-zāroñ ko sikhā de na gulistāñ kā chalan
ye musāfir to koī ābla-pā lagtā hai
dekh tū rauzan-e-zindāñ se zarā sū-e-chaman
aaj kyuuñ dil kā har ik zaḳhm harā lagtā hai
kaun 'afzal' ke sivā aisī ġhazal chheḌegā
dosto ye vahī āshufta-navā lagtā hai
Top Urdushayar.com