Ezaz Afzal

jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
jaam khanke to sambhālā na gayā dil tum se
hai abhī duur bahut zabt kī manzil tum se
ham to dariyā meñ bahut duur nikal aa.e haiñ
lauT jaao abhī nazdīk hai sāhil tum se
justujū sarhad-e-idrāk se aage na baḌhī
do-qadam tai na huā mahala-e-dil tum se
ḳhalvat-e-shauq ke dar band kiye letā huuñ
ab shikāyat na karegī koī mahfil tum se
saḳht-jānī mirī āsūda-e-ḳhanjar to na thī
kyuuñ nikālā gayā hausla-e-dil tum se
tum to naġhmoñ kī fasīloñ pe bahut nāzāñ the
kyuuñ dabāyā na gayā shor-e-salāsil tum se
dhaḌkanoñ ko nazar-andāz kiye jaate ho
phir na kahnā ki muḳhātab na huā dil tum se
Top Urdushayar.com